baadal garaj raha hai bijli chamak rahi hai pur-kaif hain fazaen har shai damak rahi hai baad-e-khunuk chaman mein bal kha ke chal rahi hai barg-e-hina ki rangat pahlu badal rahi hai chehre pe yasiyat ke nur-e-shabab chhaya makhmal ka sabz qalin fitrat ne yun bichhaya mayus har shajar ne badla libas apna har murgh-e-khush-nawa ne chheda naya tarana nikli sada-e-bulbul koyal ki kuk gunji chidiyon ki chahchahahat lutf-e-hayat lai tezi mein aa gai hai dariyaon ki rawani maidan khet basti har samt pani pani chashme ubal rahe hain nahren shabab par hain naghmat-e-naujawani chang-o-rubab par hain phulon se aur phalon se shakh-e-shajar ladi hai ushshaq ke dilon mein uljhan si pad gai hai sarsabz ho gaya hai viran sara jangal jangal mein mach gaya hai har-su khushi ka mangal khushbu-e-jaan-faza se har jaanwar magan hai un ke rag-e-amal mein wo josh maujzan hai inam-e-be-baha hai qudrat ka ye nazara 'sahil' sukun-e-dil hai fitrat ka ye nazara