kyun jaan-e-hazin khatra-e-mauhum se nikle kyun nala-e-hasrat dil-e-maghmum se nikle aansu na kisi dida-e-mazlum se nikle kah do ki na shikwa lab-e-maghmum se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle urdu ka gham-e-marg subuk bhi hai garan bhi hai shamil-e-arbab-e-aza shah-e-jahan bhi mitne ko hai aslaf ki azmat ka nishan bhi ye mayyat-e-gham dehli-e-marhum se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle ai taj-mahal naqsh-ba-diwar ho gham se ai qila-e-shahi ye alam puchh na hum se ai khak-e-awadh faeda kya sharh-e-sitam se tahrik ye misr-o-arab-o-rome se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle saya ho jab urdu ke janaze pe 'wali' ka hon 'mir-taqi' sath to hamrah hun 'sauda' dafnaen use 'mushafi'-o-'nasikh'-o-'insha' ye fal har ek daftar-e-manzum se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle bad-zauq hai ahbab se go zauq hain ranjur urdu-e-mualla ke na matam se rahen dur talqin sar-e-qabr padhen momin-e-maghfur fariyaad dil-e-'ghaalib'-e-marhum se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle hai marsiyan-khwan qaum hain urdu ke bahut kam kah do ki 'anis' is ka likhen marsiya-e-gham jannat se 'dabir' aa ke padhen nauha-e-matam ye chikh uthe dil se na hulqum se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle is lash ko chupke se koi dafan na kar de pahle koi 'sirsayyad'-e-azam ko khabar de wo mard-e-khuda hum mein nai ruh to bhar de wo ruh ki maujud na madum se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle urdu ke janaze ki ye saj-dhaj ho nirali saf-basta hon marhuma ke sab waris-o-wali 'azad'-o-'nazir'-o-'sharar'-o-'shibli'-o-'haali' fariyaad ye sab ke dil-e-maghmum se nikle urdu ka janaza hai zara dhum se nikle