sachchaiyan apne waqt mein kabhi ji nahin patin sau aankhon ne hamesha lamhon se dhoke khae tumhein kaise rukhsat karun ki ye baat imam-zamin aur dua se bahut aage bahut aage hai hatheliyon ke gardab phisalte phisalte binai ki dahliz pe aa baithe hain ungliyan kanon ko kahan tak dastak se dur rakhengi duaon ki chhatri mein aksar surakh rah jate hain main tumhein kaun si chadar tohfa dun ki aaj-kal jaulan hai izzat se zyaada kaghaz kamane ke chakkar mein hain main ne mutthi khol kar dekhi to sab lakiron se zyaada banjh niklin mere pas sabz nahin hain ki zard patton ki wusat ne khak se nil tak sarson ka mausam ka shat kar rakha hai mere pas kuchh bhi nahin bas laut aana ki tumhaare aane tak meri aankhen tirgi ki salakhon mein qaid rahengi