magar un ke andar jarasim hain ruh ki jhurriyon ko jhulas dene wale jinhen zang-alud chehre faqat caustic aur tezab se saf karna sukun bakhshta hai jin ki theory sigreton ke dhuen chae ki pyaliyan kuchh na kuchh kar guzarne ki baaten magar kuchh na karne ki aadat pe mauquf hai soch mein raushni hai amal nafraton ke andhere ki jaanib liye ja raha hai unhen puchhne ki ijazat nahin hai unhen dekhne ka koi haq nahin hai ki kitne nae nam phir raushni ne salibon ki diwar par likh diye hain ki kitne purane mitae gae hain suno waqt shab-khun jab marta hai to khwabon mein jage hue ko bhi murda hi gardanta hai