ya to khuda hasinon ko kuchh khatt-o-khal de warna unhen khudai se bahar nikal de ya-rab mujhe na jah hukumat na mal de bas ye bala-e-ishq mere sar se tal de pipe mein dhaal de ki surahi mein dhaal de saqi sharab pine ki hasrat nikal de samjhae kaun hazrat-e-naseh ko raaz-e-ishq kis tarah un ke dil mein koi dil ko dal de jamhur-e-ishq hai to musawat chahiye us ko majal de to hamein bhi majal de saqi ye dam dene mein gar radd-o-kad karen badh kar janab-e-shaikh ki pagdi uchhaal de soz-e-firaq de to chuka ab jhalak dikha ye kya kaha raqib se main dosti karun ye sanp aastin mein meri bhi pal de aise to ban sakoge na tum markaz-e-nigah allah sath husn ke kuchh chaal-dhaal de be-izn us gali mein jo pahuncha wo pit gaya allah kuchh raqib ko fikr-e-maal de mujh ko tumhaare ishq ne kundan bana diya aisa na ho ki ab ye khatai mein dal de izhaar-e-ishq us se main karta nahin 'zarif' dar hai chapat laga ke na ghar se nikal de