husn jab ham-kalam hota hai ishq bhi be-lagam hota hai lutf jis par mudam hota hai us ka qissa tamam hota hai un ko jis roz kaam hota hai mujh se us din kalam hota hai aashiqon ka nahin jo ghar koi hotalon mein qiyam hota hai aap hain aur majma-e-aghyar roz darbar-e-am hota hai ghair aata hai un ki dawat mein mujh ko khana haram hota hai apne ghar par kahan wo milte hain raste mein salam hota hai aire ghairon ka zikr kya hai 'zarif' ab to wo but bhi ram hota hai