saqi kuchh aaj tujh ko khabar hai basant ki har su bahaar pesh-e-nazar hai basant ki sarson jo phul utthi hai chashm-e-qayas mein phule-phale shamil hain basanti libas mein patte jo zard zard hain sone ke pat hain sadbarg se talai kiran phul mat hain hain chudiyon ki jod basanti kalai mein ban ke bahaar aai hai dast-e-hinai mein masti bhare dilon ki umangen na puchhiye kya mantiqen hain kya hain tarangen na puchhiye mathe pe husn-khez hai jalwa gulal ka bindi se auj par hai sitara jamal ka gendon se mail-e-gul-e-bazi hasin hain sar ke ubhaar par se dupatte mahin hain aks-e-naqab zinat-e-rukhsar ho gaya zewar jo sim ka tha tala-kar ho gaya sarson ke lahlahate hain khet is bahaar mein nargis ke phul phul uthe lala-zar mein aawaz hai papihon ki masti bhari hui tuti ke bol sun ke tabiat hari hui koyal ke jode karte hain chuhlen surur se aate hain tan udate hue dur dur se baur aam ke hain yun chaman-e-kaenat mein moti ke jaise guchchhe hon zar-kar pat mein bheron ki gunj mast hai har kisht-zar mein bansi bajate kishn hai goya bahaar mein kesar kusum ki khub dil-afza bahaar hai gendon ki har chaman mein do-ruya qatar hai ek aag si lagai hai tesu ne phul ke kya zard zard phul khile hain babul ke hai ist dewtao ke mandir saje hue hain zard zard phulon se kul dar saje hue bas dew-ji ke lal ki jhanki ajib hai aanand be-hisab dilon ko nasib hai bansi jadaw sone ki lab se mili hui dil ki kali kali hai nazar mein khili hui pitambar nafis kamar mein kasa hua khushbu se haar phul ki mandir basa hua shanon pe bal pade hue zulf-e-siyah ke radha se bar bar ishaare nigah ke banki adaen dekh ke dil lot-pot hai rutkaam istiri ke kaleje pe chot hai kanon mein kunlon ki chamak hai jadaw se radha lajai jati hai chanchal subhaw se pyari ka hath apni baghal mein liye hue aankhen sharab-e-husn-e-jawani piye hue dil radhika ka baada-e-ulfat se chur hai kuhni se thelne ki ada ka zuhur hai chupki khadi hai kishn ke rukh par nigah hai hai pahlu-e-jigar mein jagah dil mein rah hai ulfat bhari jo bansi ki jaanib nazar gai goya basant ki rag ki dhun mast kar gai is chhab pe is singar pe dil se nisar 'ufuq' qurban ek bar nahin lakh bar 'ufuq' ai kishn nazirin ko mubarak basant ho khela jo apne wo abad tak basant ho
This is a great rang de basanti shayari. True lovers of savitribai phule shayari marathi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore basant ritu shayari. Please share if you liked this!!!