lo phir basant aai phulon pe rang lai chalo be-darang lab-e-ab-e-gang baje jal-tarang man par umang chhai phulon pe rang lai lo phir basant aai aafat gai khizan ki qismat phiri jahan ki chale mai-gusar su-e-lala-zar ma-e-parda-dar shishe ke dar se jhanki qismat phiri jahan ki aafat gai khizan ki kheton ka har charinda baghon ka har parinda koi garm-khez koi naghma-rez subuk aur tez phir ho gaya hai zinda baghon ka har parinda kheton ka har charinda dharti ke bel-bute andaz-e-nau se phute hua bakht sabz mila rakht sabz hain darakht sabz ban ban ke sabz nikle andaz-e-nau se phute dharti ke bel-bute phuli hui hai sarson bhuli hui hai sarson nahin kuchh bhi yaad yunhi ba-murad yunhi shad shad goya rahegi barson bhuli hui hai sarson phuli hui hai sarson ladkon ki jang dekho dor aur patang dekho koi mar khae koi khilkhilae koi munh chidhae tifli ke rang dekho dor aur patang dekho ladkon ki jang dekho hai ishq bhi junun bhi masti bhi josh-e-khun bhi kahin dil mein dard kahin aah-e-sard kahin rang-e-zard hai yun bhi aur yun bhi masti bhi josh-e-khun bhi hai ishq bhi junun bhi ek naznin ne pahne phulon ke zard gahne hai magar udas nahin pi ke pas gham-o-ranj-o-yas dil ko pade hain sahne ek naznin ne pahne phulon ke zard gahne
This is a great patang shayari sms. True lovers of basant ritu shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this gang shayari in hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!