purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai wo sab pyase the milon ki masafat se badan behaal tha un ka jahan bhi jate wo dariyaon ko sukha hua pate ajab banjar zaminon ka safar darpesh tha un ko kahin pani na milta tha khajuron ke darakhton se unhon ne unt bandhe aur thak kar so gae sare unhon ne khwab mein dekha khajuron ke darakhton ki qataren khatm hoti hain jahan pani chamakta hai wo sab jage har ek jaanib tahayyur se nazar dali wo sab utthe mahaaren tham kar hathon mein unton ki khujuron ke darakhton ki qataren khatm hone mein na aati thin zabanen sukh kar kanta hui thin aur unton ke qadam aage na uthte the wo sab chikhe bashaarat dene wale ko sada di aur zamin ko pair se ragda har ek jaanib tahayyur se nazar dali khujuron ke darakhton ki qataren khatm thin pani chamakta tha!!