wo suraj ki pahli kiran le ke apne gharon se chale jab to chehre gulabon ki surat khile the jabinon pe sajdon ki tabindagi thi libason ki shaistagi zeb-e-tan thi nigahon mein shauq-e-safar ki chamak aur qadmon mein thi aabshaaron ki masti mujhe yun laga zindagi aasmanon pe gaya hua git dohra rahi hai sar-e-sham suraj ki dhalti kiran sath apne liye jab gharon ko wo laute to chehron ki lali libason ki shaistagi mar chuki thi nigahon mein gahri thakan thi jo qadmon se takra rahi thi mujhe yun laga zindagi phir gunahon ki padash mein aasman ki hadon se nikali gai hai