ye pyari pyari battakhen chalti hain kis andaz se jaise hasin shahzadiyan ithla rahi hon naz se hai zard gendon ki tarah hamrah bachchon ka kutumb tum rui ke gale kaho gole kahen resham ke hum hain raniyan talab ki ye ujli ujli battakhen belon bhari jhilon ki hain un se hi qaem raunaqen tan dudhiya chikne hain par sine tane akde hain sar ya kashtiyan chandi ki hain shaffaf sath-e-ab par marmar ke but hain tairte pani ke upar shan se pariyan ye shokh o shang si aai hain nuristan se aisi safed-o-khushnuma jaise khilaune barf ke ya takhta-e-billor par raushan hain momi qumqume chonchen sunahri khol kar qen qen ki tanen ghol kar lahron mein lahraati hain ye panjon ke chappu tol kar nilofaron ka kunj hai in ki masarrat ka jahan nikhre hue sundar kanwal dete hain in ko thapkiyan