zard jhil

dekho us ka jhil sa mukhda jaise khwab khayal
kaisa hai aawaz ka jadu jaise megh malhaar

zulfen hain ki haule se chhu le koi purwai
us ka hansna aise jaise pael ki jhankar

rangat aisi dur pahadon par dhalti si sham
dekho us ki aankhen dekho jaise dip jalen

dekho us ke hath ki rekhaon ki sundarta
lekin dekho

us par jo kuchh darj hua tha
aankh ke jalte pani se sab rakh hua hai

dekho us ke hath ki rekha
dub gai hai

dekho dipak aankh ka sapna khak hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close