aao bachcho baaten batao desh ka apne naqsha banao ganga nadi hai kahan se nikli kahan kahan ye ja kar phaili sangam ka wo kaun nagar hai jis par sab ki lagi nazar hai jhansi kyon mashhur hui hai kis ke nam se wo chamki hai kaise amar punjab bana hai kaun wahan mashhur hua hai kahan hue gandhi ji paida kaam unhon ne kiye hain kya kya kaun the 'shaukat' kaun the 'jauhar' kyon hai in ka charcha ghar ghar paida hue 'ashfaq' kahan par nam hai kyon har ek zaban par desh ka apne kaun nagar hai jo jannat se bhi badh kar hai dilli ko hum kya hain kahte jahan safir har mulk ke rahte