ab ki garmi ki chhutti mein yani is guzri garmi mein gae lakhnau hum khala ke ghar dekhe tarah tarah ke manzar bhul-bhulayyan hum ne dekhi ja ke na nikle jis mein koi dekha husain-abaad ka phatak dekha cinema dekha natak lat shahidon wali dekhi park gae hum hathi wali council chamber dekha hum ne zoo bhi ja kar bhaalu dekhe nach dikhate kalu dekhe belly-gaurd hum ne dekhi jis mein chale the gole goli gae aminabaad bhi yaro aur hue hum shad bhi yaro ganj ki hum ne sair bhi kar li har manzar se jholi bhar li guzre qaisar-bagh se ho kar chaar-bagh ka chalta manzar dekh ke har manzar ko aae laut ke apne ghar ko aae