raat ki aakhiri train talak ghar mein bikhri hui sabhi chizen ek ek kar ke saf hoti hain aur jagah un ki badli jati hai phir kitabon ki saf almari bas khuli rahti hai yun hi ghanton raat ki aakhiri train ke ba'd rickshaw tangon ki khadkhadahat se sote sote wo jag jati hai der tak jism ki hararat se apne tanha gudaz bistar ko chand guzre hue dinon ki baat dhire dhire sunati rahti hai subh hone se pahle kitni bar thande pani se wo nahati hai