uf ye pichhle pahar ka sannata zehn par dank marta jae ek ek zakhm ubhaarta jae bhula-bisra hua sa ek chehra mere ashkon mein dub kar nikla aur mere larazte honton par saj gaya ek aah ki surat aisi lambi karah ki surat chir kar dil ko jo nikalti hai be-riyai khulus lutf-o-karam khush-dili mehrbaniyan shafqat husn-e-shabnam-mizajiyan nikhat zindagi ka saliqa-e-musbat aagahi aql ilmiyat tahzib dil-nashin dur-bini dida-wari sheriyat ka shuur khush-nazari rang aata hai rang jata hai aur wo bhula-bisra sa chehra chot dil par mere lagata hai badhti jati hai zakhmon ki tadad badhta jata hai dard sine ka hausla ab nahin hai jine ka yaad-e-mazi azab hai yarab