nashsha-e-bada ka khamyaza tan-o-jaan ka khumar dard ang ang ka aankhon ki jalan dil ka azab ai ki tu baada-e-sar-josh ka mutamanni hai tu ne socha hai kabhi apni tamanna ka maal main ki is karb-e-qayamat se hun aagah mujhe peshkash jam ki karte hue khauf aata hai tere aasab pe ye bar-e-mabaada ho garan is darja farsh-e-hasti pe bikhar jae to tukde ho kar jam hazir hai ki main aur mera mashrab-e-khas bukhl se ek bhi pahlu se nahin hai mansub han magar jam uthana hai to tu soch zarur zarf-e-mai-khwar se qaem hai waqar-e-mai-khwar