raat utarti gai mujh ko khabar hi na thi kaghaz-e-be-rang mein sard-hawas-jang mein subh se masruf log apni chadar mein band aankh khatakti nahin dil pe barasti nahin khushk-hansi be-namak shahr faza mein buland tang-gali ki hawa sham ko chuhon ki daud tez-qadam gurba-e-shah jahan kab jhapat legi kise kya pata nind ka uncha makan raushniyon se saja hum sab ki khidkiyan darwaze band hain ghar ki chhaten aahani ghar ki hifazat karo ghar ki hifazat karo raat utarti rahe hum ko dikhai na de hum pe hawa ilzam kyun