bayaz-e-dil ko jo kholen to justuju hogi har ek safha-e-hasti ki guftugu hogi unhen ye zid ki na aao hamari mahfil mein hamein guman raha kuchh to wafa ki khu hogi isi sabab se tha ai nama-bar tujhe roka ki ab to baat jo hogi wo ru-ba-ru hogi mizaj un ka samajhna kisi ke bas mein nahin wafa ki baat par aisi bhi tum se tu hogi dilaen lakh yaqin hum magar wo kyon mane jo baat ghar se chalegi har ek su hogi chhupa ke rakkha hai palkon ne ek samundar ko jo chashm-e-nam se giri bund wo lahu hogi sitare dub ke lae khabar sahar ki 'ada' kuduraton ko hatao to dil mein zau hogi