tasawwur mein sare jahan dekhti hun makin dekhti hun makan dekhti hun bhatakti phiri sare aalam mein har su jahan main nahin hun wahan dekhti hun chamakte sitaron mein dekha hai us ko main jharnon mein us ko nihan dekhti hun kabhi chand suraj ki kirnon mein dhunda wahan rang-ba-rang kahkashan dekhti hun kabhi us ko phulon ki khushbu mein dekha fazaon mein us ko ayan dekhti hun ye mausam badalte jahanon ke dekhe main shabnam mein us ka saman dekhti hun ba-dosh-e-saba ud ke pahunchi jahan tak main samt-e-jahan be-karan dekhti hun chalun phir yahan se zara aur aage main sahil pe mauj-e-rawan dekhti hun nazar mein junun ke hai nafrat har ek su dilon mein main tir-o-kaman dekhti hun na insan mein ulfat na insaniyat hai sulagte labon par fughan dekhti hun na paya sukun kyon 'ada' main ne aakhir tapish apne dil ki tapan dekhti hun