naghma-zar-e-dard ki jaanib chale hum ek bhi zarra na kuchla jae is raftar se naghma-zar-e-dard ki jaanib chale hum kunj mein pedon ke suraj jhankta tha kohsaron sabza-zaron mein jhamakti raushni ka jashn tha jashn jari hi rahega ta-abad jari rahe naghma-zar-e-dard ki jaanib chale hum lal-o-marmar se gundha qalib aur is ke mehwar us ke qarib bijliyon jaisa musaffa ek wajud chaar-su bikhre hue khamosh sune aasman hum kahan hain hum kahan naghma-zar-e-dard hai ye hum kahan itna be-awaz jaise aatma apni shuaen reshe reshe se badan ke khinch le aahistagi se be-gazand aur duri be-fughan ho jism ki aur ruh ki kya subuk-raftar kar deti hai hum ko be-dili be-hasili jaise ek baadal ka tukda apni chhagal phenk de unchi faza mein pyase zarron ki taraf phir halke-phulke pankh phailae ude halkore le ek mitti banti rang ki tahrir si sairab zarre us ko dekhen aur pukar utthen wo kafuri sa shoala azmat-e-na-ras dawam-e-dard hai wo surkh nirmal raushni lo sans ke sar-chashme sukhe har shikayat mit gai kya shikayat sans ke sar-chashma se un ko rahi jo sans lete hain yahan mauj-e-be-hangam khanda kaise phuti mere lab se koi shakti hum mein hai jo yun hamein pamal kar hans sake ye hamein aaghaz hi se khatm karne par tuli thi chahe phir khud hi mujawir ban sake anjam-kar ehtijaj us ka jo ek shakti hai mujh mein kis qadar pur-shor hai kis qadar pur-zor hai naghma-zar-e-dard se aage liye jata mujh ko in fazaon mein jahan bazgasht ek git ban jati hai us ki jaise sab tile chatanen aur kuhistan sans ke chashme mein shamil hain dhadakte zi-nafas aur ham-nawa