munni tere dant kahan hain dant the main ne dudh pila kar sat baras mein pale aa kar un ko le gae chuhe lambi monchhon wale gud ka un ko mat mila tha mitha aur mazedar lakh khushamad kar ke mujh se le liye dant udhaar munni tere dant kahan hain billi thi ek mami mausi chupke chupke aai panjon par thi deg ki khurchan honton par baalai boli gud ke mat pe main ne chuhe dekhe chaar hissa aadhon-adh rahega de do dant udhaar munni tere dant kahan hain baad mein budha moti aaya roni shakl banae bola bibi is billi ka kuchh to karen upae dudh na chhode gosht na chhode hain buddha lachaar is ko karun shikar jo mujh ko de do dant udhaar achchhi munni tum ne apne itne dant ganwae kuchh chuhon ne kuchh billi ne kuchh moti ne pae baqi jo do-chaar rahe hain wo hum ko dilwao ek dawat mein aaj milenge tikke aur polaw murghi ke pae ka salan baigan ka aachaar dogi ya kisi aur se mangun han diye udhaar baba han han diye udhaar munni tere dant kahan hain