is qadar shokh nigahon se na dekho mujh ko ghairat-e-husn pe ilzam na aa jae kahin tum ne khud bhi nahin samjha hai abhi tak jis ko lab pe wo khwahish be-nam na aa jae kahin ye jo masum tamanna hai tumhaare dil mein kitni sangin khata hai ye tumhein kya malum aur duniya mein mohabbat ke khata-karon par kis qadar zulm hua hai ye tumhein kya malum apni bosida riwayat ke viranon mein tishna ruhon ko bhatakte nahin dekha tum ne apni tahzib ke tarik sitam-khanon mein aarzuon ko sisakte nahin dekha tum ne kitni lashen hain pas-e-madfan-e-namus yahan apne ajdad ki tarikh utha kar dekho zinat-khana jo be-ruh si taswiren hain chikh utthengi zara hath laga kar dekho apni duniya to tijarat ki wo mandi hai jahan jism ki baat hi kya ruh bhi bik jati hai dam lag jaen to kya ishwa-o-andaz-o-ada pyar si shai sar-e-bazar chali aati hai tum ko bhi ek na ek din yunhi bikna hoga apne namus ki derina riwayat ke liye koi tajir tumhein bazar se le jaega apni banhon mein ghadi bhar ki hararat ke liye laut jao ki yahan pyar ka hasil kya hai nala-e-shab ke siwa aah-e-sahar dam ke siwa aur kya dega zamana tumhein inam-e-wafa aatish-e-gham ke siwa dida-pur-nam ke siwa