jab andhere se main dar jata hun ab bhi aksar teri ungli ko pakadne ka khayal aata hai muskurahat ho ya aahen ya khushi ke aansu har ek ehsas ki lazzat mein samaya hai tu jab ubharti hai rasoi se rasili khushbu jab kisi phul ke chehre pe jamal aata hai teri ungli ko pakadne ka khayal aata hai meri aawaz zaban aur mera andaz-e-bayan mere ehsas o khayalat nazriya imkan tu ne hi bandhe mere sath ke saz-o-saman phir bhi gar man mein mere koi wabaal aata hai teri ungli ko pakadne ka khayal aata hai sham-e-ummid larazti hai sahar se pahle jab utarti hai thakan dil mein safar se pahle khun ho jate hain arman asar se pahle raste mein koi pechida sawal aata hai teri ungli ko pakadne ka khayal aata hai