jitni der mein tum ek aahat se utarte ho aur sawer se apni palken ikatthi karte ho utni der mein ek nazm ban chuki hoti hai nazm jis ki aankhon se loban ki khushbu aur palkon se nam tapakta ho aur wo apni pahchan ke liye khud apna wasila bane lekin agar is ke baad ke wasile zyaada mo'tabar thahren to hairaten afsos aur pachhtawe radd-e-dua jab mohabbaten insan se kam-tar hawalon ki muhtaj ho jaen to wo sidhiyan utar jati hain aasman nahin rahtin zamin ka hawala mohabbat hai aur wo jaanwar zyaada achchhi tarah nibha sakte hain bahut qadim se kiya kawwon ne nahin bataya ki apna jurm aur apni aakhirat ko mitti se parda-posh karo aur kya kutte e'tibar ki aakhiri had nahin hain jo kahte hain mere mahbub so ja! main hun na main hun na! zalzalon ki khabar dene ke liye main teri musibat-zada nasl ko kahin se bhi dhund launga agar teri mohabbat ki nishaniyan un ke hathon ki ungliyon mein na bhi milen wo tujhe zarur mil jaenge un ke hath aur bazu tere bhai-bandon ne kat liye lekin main apne munh ka niwala unhen de kar hi lautunga main musibat ke sab dinon mein tere sath hun main sag-e-dar hun meri tujh se sagai hai!