barish dekhti hai ki use kahan barasna hai aur dhup jaanti hai ki use kahan nahin jaana magar wo jati hai aur shikar hoti hai aur kanton mein phans kar bat jati hai aur ret ke zarron ki tarah zamin se uthai nahin jati raat samajhti hai aur samajh kar khamosh rahti hai sirf apne konon par girhen lagati rahti hai aur kahti hai aa mil dholan yar kadi kedare ke tane-bane mein dekh to main ne kya buna hai ek phulban! ek ras-ban aur ab dhaare dhaare chali jati hun main ban bich utrun, kante rang dun? dhaare dhaare bahi jati hun aur bhed nahin pati hun na pal chhan ka na yugon yugon ke antar ka tum sundar gyani shant hue mohe apni sit karo swami sab chidiyan ek sang bolti hain mohe apni sit karo swami aur dur kahin ud jati hain main apne har ek kone par chaalis girhen lagwati hun tan jonk jonk daswati hun aur dhup ko ye malum nahin kab mujh par saya karna hai! kab mujh ko raushan karna hai kab meri khak udani hai kab mere ang ang bharna hai main gathri gile kapdon ki kis ghat mujhe ab dharna hai!