hum jin khwabon ke pichhe bhagte hain wo aankh khulte hi tut jate hain hum jin raston par chalna chahte hain wo raste na jaane kyun ajnabi ban jate hain hamari aankhen intizar karna bhul chuki hain hamare aansu khushk ho chuke hain kisi ki yaad ab hamein satati nahin ab na koi dard hai na koi khalish hum ne kat phenke wo aaza jo hamein lahu lahu kar chuke han apne aap se kuchh bichhadne ka kuchh malal to hai apne aap par hansne ka thoda gham bhi hai jo jhut hum ne apni zat se bole un ki chubhan bhi hai magar us ke siwa hum kya karte zindagi ko koi to dena tha bina kisi sarshaari ke kyunki hum jaante hain hamari mohabbat sad chuki hai