guzre hue mah o sal ke gham tanhai shab mein jag utthe hain umr-e-rafta ki justuju mein ashkon ke charagh jal rahe hain aasaish-e-zindagi ki hasrat mazi ka naqsh ban chuki hai haalat ki na-guzir talkhi ek ek nafas mein bas gai hai nakaami-e-arzu ko dil ne taslim o raza ke nam bakhshe milne ki khushi bichhadne ka gham kya kya the fareb-e-zindagi ke ek umr mein ab samajh sake hain khushiyon ka fusun gurez pa hai ab tark dua ki manzilen hain daman-e-talab simat chuka hai nakaami-e-shauq mitte mitte jine ka shuur de gai hai ye gham hai nawae shab ka hasil ye dard mata-e-zindagi hai ujdi hui har rawish chaman ki deti hai suragh rang o bu ka viran hain zindagi ki rahen raushan hai charagh aarzu ka