'asrar' mubtala hue ek din azab mein yani giraft-e-zahid-e-izzat-maab mein taqwa o zohd faqr tasawwuf mukhizat kahta tha dastan magar ek bab mein khauf-e-khuda kuchh aisa bithaya ki al-aman din mein zara sukun na rahat thi khwab mein wo ikhtilaj-e-qalb hua tha ki ek din hazir hua hakim-e-matab ki janab mein do-chaar bar nabzen tatolin to dafatan bole ki kuchh fasad hai shayad luab mein lazim hai is maraz mein ifaqa ke waste sandal ko ghis ke pijie fauran gulab mein jab ye suna to hath ke tote hi ud gae socha ki ab to maut ki aaya hun dab mein sab ka chuka ke qarz karun fikr-e-aqibat jo umr hai guzarun husul-e-sawab mein aate hi is khayal ke ghar-bar bech kar saqi ke pas pahle gaya iztirab mein saqi se jab talab kiya khata udhaar ka zahid ka bhi hisab tha mere hisab mein