kisi kabus ka goya gazida shikasta khwab-e-be-tabir ko aankhon se dho kar gharibi dhundhne nikla sawere to hairani ko daman-gir paya guzargahon mein lashkar be-aman the chahakte chahchahate naunihaalan jhuke jate the pushtaron ke mare unhen kuchh bhi nahin malum mahshar kamin-gahon mein un ka muntazir hai khudaya aagahi aakhir kidhar hai to main gard-e-kudurat munh pe mal ke gharibi dhundhne nikla tha ghar se siyah-karon ki caron ke tawile mere raste ko har jaanib se roke salib-e-dud par mujh ko chadhae chale jate the nadida jahan mein jahan duniya-e-gham-na-ashnayan sajile khush-nigar-o-sim-tan hain sar-e-rahe phate latton ke kheme wahin atraf mein bachchon ke rewad wahin maili kuchaili aurten bhi sar-e-bazar mardon ke barabar musawat-e-tamaddun ka namuna unhen kuchh bhi nahin malum ghurbat kya bala hai ki zer-e-asman jo kuchh hai sab un ka jahan hai bil-akhir thak thaka kar ghar ko lauta thithak kar apni chaukhat par jo thahra to us ke par ek viran si duniya ujale mein fareb-e-shab ke dubi gharibi ko kaleje se lagae meri aamad ki jaise muntazir bhi wahin gulshan dua ke na-farida wahin pazhmurda ummidon ki kaliyan wahin danishwari sar-dar-gareban gareban chaak apna si rahi thi wahin fikr-e-rasa bhi ro rahi thi