kaisi purwa aaj chali hai dard purane jag uthe waqt ki dhalti chhanw mein baithe apni gatha likhte the hanste the aur rote the aur pid purani bhule the lekin kuchh to yar batao kaisi purwa aaj chali hai dard purane jag uthe main diwana shahr-badar tha shahr se mujh ko lena kya dukh ki gathri chhod aani thi us ko dhoe phirna kya us ka bojh bhi kam tha 'rizwan' kaisi purwa aaj chali hai dard purane jag uthe bhigi bhigi aankhon mein kuchh khwab purane jag uthe kuchh zakhm khule kuchh dard badha kuchh dard purane jag uthe kaisi purwa aaj chali hai yar bata