be-abaad gharon ka nauha

be-abaad gharon mein aisa hota hai
dur ke des ko jaane wala kolhu ka ek bail bana hai

har pahli ko harkare ke hath mein ek money-order ka rasta takti
bap ki aankhen khushi khushi tasbih ke dane jaldi jaldi pher rahi hain

bahnen dollar ke tawiz bana kar gale mein dale ghum rahi hain
bhai apne yaron mein pardes ke qisse rang-birangi aawazon mein hank rahe hain

khush-fahmi ki mari biwi apni jawani umr ke calender mein rakh kar kaamon mein lag jati hai
man diwar pe baithe kawwe ki aawaz ko sun kar khush hoti hai

dur ke des mein
kolhu ka wo bail bechaara

raat ko thak kar so jata hai
be-abaad gharon mein aksar

aisa ho jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close