mariyam ne khwab dekha jangal mein hai wo tanha itne mein jhadiyon se ek sher jhat se nikla dekhi jo shakl us ki mariyam pe khauf chhaya bechaari ji mein sahmi ab sher mujh pe jhapta par sher ka to us dam kuchh aur hi tha naqsha tha wo bahut pareshan sahma sa aur dara sa latki hui thi gardan utra hua tha chehra aankhon mein us ki aansu jo dum se ponchhta tha mariyam ko dekh kar ye behad hua achambha dhaaras bandhi jo us ki mariyam ne us se puchha ai baadshah salamat hai haal aap ka kya tab us ne jhurjhuri li mariyam ki samt palta pahle dikhae panje khola phir apna jabda kuchh der chup raha wo phir aah bhar ke bola kya puchhti ho mujh se ai meri nannhi gudiya bigda mera muqaddar phuta mera nasiba ya bad-dua hai us ki main ne jise sataya mujh mein rahe na kuchh gun ab dant hain na nakhun