lakiren khinch do chaaron-taraf us ke lakiren khinch do ki wo nuqta hai lekin daere ki qaid se bahar nikal jae to ek pal mein lakiren khinch do chaaron-taraf us ke lakiren khinch do ki wo jalta hua ek lafz hai jis ko kisi ke hont ne ab tak nahin chuma agar chume lakiren khinch do chaaron-taraf us ke lakiren khinch do wo ek aisa tasawwur hai agar alfaz ke malbus mein tarsil ho jae to maujen sagaron ki banh se aazad ho jaen pahadon ki bulandi dekhte hi dekhte patal ke andar utar jae chamakta garm suraj apne hi qahr-o-ghazab ki aag mein jal kar pighal jae zamin madum ho jae lakiren khinch do chaaron-taraf us ke lakiren khinch do lekin