tere bistar pe meri jaan kabhi be-karan raat ke sannate mein jazba-e-shauq se ho jate hain aaza madhosh aur lazzat ki giran-bari se zehn ban jata hai daldal kisi virane ki aur kahin is ke qarib nind, aaghaz-e-zamistan ke parinde ki tarah khauf dil mein kisi mauhum shikari ka liye apne par taulti hai, chikhti hai be-karan raat ke sannate mein! tere bistar pe meri jaan kabhi aarzuen tere sine ke kuhistanon mein zulm sahte hue habshi ki tarah rengti hain! in the dead silence of a shoreless night ek lamhe ke liye dil mein khayal aata hai to meri jaan nahin balki sahil ke kisi shahr ki doshiza hai aur tere mulk ke dushman ka sipahi hun mein ek muddat se jise aisi koi shab na mili ki zara ruh ko apni wo subuk-bar kare! be-panah aish ke haijaan ka arman le kar apne daste se kai roz se mafrur hun main! ye mere dil mein khayal aata hai tere bistar pe meri jaan kabhi be-karan raat ke sannate mein! sometimes on your bed, my love in the dead silence of a shoreless night limbs go lifeless with passion and beneath this burden of pleasure the mind sinks into a quagmire of some wilderness and somewhere nearby sleep, like a bird fearing predators at winter's dawn prepares its wing, and screams in the dead silence of a shoreless night