be-KHabar

nowember ki zard-ru dhup
khidki ke rauzan se nikal kar

har su phail gai hai
viran ujad kamre mein

khushk moti kitaben hain
nim-shab ki jali adh-jali cigaretten

budhe shair ka purana chashma
jhurriyon bhare hathon ki larzish mein anokhe alfaz

rang khushbu falak-paimai ke nae andaz
kirm-khurda mez ke aqab mein budha shair

par kar ki moti nib se likhe ja raha hai
rang ki zaban mein khushbu ke afsane

use khabar bhi nahin
ki

nowember ki zard-ru dhup
us ki mez par sarak aai hai

aur
angur ki sard khushk bel

khidki ki darz se
use jhankti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close