be-KHabar

bagh ke ek goshe mein lete hue
us budhe ko kya khabar

ki us ki banai hui imarat
kitni badal gai hai

us ki diwaren
kitni khud-sar ho gai hain

us ki khidkiyan
kitni be-parda ho gai hain

us imarat mein rakhi hui kursiyan
kitni maghrur ho gai hain

aur kursiyon ke qisse
gird-o-nawah mein

mashhur ho gae hain
bagh ki ek chhoti si qabr mein lete hue

us budhe ko kya malum
ki us ke ghar mein jang chhidi hui hai

munchhen aur dadhiyan
bahami jang mein masruf hain

burqe aur sadiyan aapas mein lad rahi hain
wo budha

be-khabar so raha hai
lekin jang ka shor

use nind se jaga dega
use qabr se nikal kar

bahar phenk dega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close