kuchh khabar ai hind walo hai ki tum ho be-khabar kar raha hai zulm zalim qaum ke har fard par ye sarapa zulm hai bedad ki taswir hai par hai wo sab ke dil se jo kaman mein tir hai barbariyat is ka shewa shaitanat hai is ka kaam chahta hai umr bhar rakhna tumhein apna ghulam is ka pesha rahzani hai is ka maslak hai riya is ka mazhab aur kya hai is ka mazhab hai dagha bekas-o-majbur dil par rahm kuchh khata nahin zulm kab karta nahin aazar kab dhata nahin aise zalim se hamesha tum ko ladna chahiye panw ke niche sitamgar ko ragadna chahiye