jaise mahaul mein insan ka guzar hota hai us ke kirdar mein waisa hi asar hota hai jin ko qabu nahin hota hai zaban par apni par karte hain haden wahm-o-guman par apni sirf lafzon pe wafa ka jo bharam rakhte hain amali duniya mein wo kab apne qadam rakhte hain haq ke izhaar pe har-waqt jo inkar karen har kisi baat pe jo tanz-bhare war karen ek ek sans ka lena bhi jo aazar karen zinda rahne ki tamanna bhi jo dushwar karen ghar ka sukh kya hai rawadari kise kahte hain jaante jo nahin khuddari kise kahte hain be-hisi aisi ke khud ka bhi nahin karte yaqin aasmanon ki lalak se hi khisakti hai zamin