misre dam pe rakh deti hun chawal qab mein bhig chuke hain roti belan ke niche hai pyaz ka tadka dal pe dal ke chawal pakne rakhe hain kettle mein hai chae chadhai jab tak chae mein bhanp bane main misre dam pe rakh deti hun aur isi asna mein bartan dastar-khwan pe chun deti hun dastar-khwan pe cup paleton aur chamchon ke shor mein misre kachche-pakke rahte hain ek sukun ka pal milte hi soch ki handiya kholungi aur ek ek kar ke dhimi aanch pe sare misre senkungi to sab nazmen ban jaengi