abhi main barf se lipte hue jazire par khud apne aap se milne ki aarzu le kar laga hua hun sawere ko sham karne mein samundaron mein ubharte bhanwar bulate hain ufuq se aati sadaen bhi khinchti hain magar main apni soch se bahar nikal nahin sakta ajib khwabon ka be-nam silsila hai ye ki zindagi se koi rabta nahin milta khud apni khoj mein masruf rahne walon ko kisi darakht ka saya bhi yan nahin milta