ruh-e-insan ki jawan tishna-labi ki khatir zang-alud tamannaon ki zanjir liye phir sahar raat ke zindan se nikal aai hai subh lai hai ujalon ka chhalakta hua jam raat ki aankhon se tapka hai sitaron ka lahu tira-o-tar faza dub gai hai khud mein dur suraj ki sulagti hui aahon se pare meri har fikr ki har soch ki rahon se pare dil ki aankhon se pare meri nigahon se pare phir wahi fikr-e-safar fikr-e-talab fikr-e-zawal phir wahi tez masail wahi khunkhar sawal phir siyah-posh tasawwur ka siyah-posh kamal phir uthae hain tamannaon ne khwabon ke kafan phir wahi pet ke manus taqazon ki chubhan phir lahu roti hai iflas ki madquq dulhan ruh-e-insan ki jawan tishna-labi ki khatir zang-alud tamannaon ki zanjir liye phir sahar raat ke zindan se nikal aai hai