hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya ki wo mard napaid ho jaenge jinhen khuda ne ek darje upar rakha zara un maon ke dudh ko jaancho is ko pi ke parwan chadhne wala bachcha be-kirdar ho jata hai kisi hijde ya zankhe pe lan-tan mat karo wo apne siwa kisi ka mazaq nahin udata aur ab aane wali sadiyon mein jo naslen paida hongi wo kisi zankhe ya hijde se ziyaada qabil-e-rahm hongi so hamein mat dikhao ye hasab-nasab hum ne ye sare ghurur nadi nalon mein bahte hue dekhe hain hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya ki ek waqt aisa aaega jab kisi ki koi shanakht nahin hogi