dost kahte hain tere dasht-e-wafa mein kaise itni khushbu hai mahakta ho gulistan jaise go badi chiz hai ghamkhawari-e-arbab-e-wafa kitne be-gana-e-ain-e-wafa hain ye log zakhm-dar-zakhm mohabbat ke chaman-zar mein bhi faqat ek ghuncha-e-mantiq ke gada hain ye log main unhen gulshan-e-ehsas dikhaun kaise jin ki parwaz-e-basirat par-e-bulbul tak hai wo na dekhenge kabhi had-e-nazar se aage aur meri hadd-e-nazar hadd-e-takhayyul tak hai dil ke bhedon ko bhi mantiq mein jo uljhate hain yun samajh len ki babulon mein bhi phul aate hain