dekho tum ginti numberon ke hisab kitab mein mat jao sab dikhawa chhalawa sa hai main to abhi bhi wahi stapu khelne ki bari ke intizar mein hun ghar par pair patakti nannhi bachchi si mote mote aansu liye kone mein baithi si hun barishon mein chhap chhap kar mitti mein sane panw se be-parwah hawa si hun kohre se bhare shishe par kuchh ulta kuchh sidha kuchh sachcha jhuta likhti mitati si hun khayal mein apne is kesari printed phulon se bhare firaq mein titli ke pichhe daud lagati bawli si ho tum bar bar janm-din par call kar umr ka hawala na do mere liye to dil abhi bhi ruh ki baen taraf hai jo biswin sal mein tha shayad