main raushni mein itni ghalatiyan karta hun jitni log andhere mein nahin karte honge main in dinon ek mansuba tayyar karne mein masruf hun har tarah ki nakaamiyon se pak mansuba taki jaise hi mauqa mile mein khud ko qatl kar dun mujhe aise chaurahe ka bhi intikhab karna hai jis ke ain-wast mein lash ko is tarah latkana mumkin ho ki us ka nazzara kiya ja sake chaaron aur se sangsari ke hamiyon ko khususi dawat di jaegi khas taur par qaribi doston ko tum bhi patthar hi barsana meri lash bardasht nahin kar sakegi phul ki zarb lekin main kya karun main raushni mein bhi itni ghalatiyan karta hun jitni log andhere mein nahin karte honge