tumhein pura haq hai naraaz hone ka hum be-rahm shaeron se hum ne tumhein ek tamasha bana diya tumhaare dil mein dafn gahre-tarin raazon tak hamari nazar pahunch gai aur hum ne tumhein sharminda kar diya duniya ke samne tumhaare raazon par nazmen likh kar tum hamare jurm par hamein hathkadi na lagwa sake hamein adalat na le ja sake na phansi par chadwa sake tum hamare khun se apne hath rangne ke liye bhi khud ko aamada na kar sake go ye kuchh aisa mushkil bhi na tha lekin hamein andaza hai tum hum se badla lene ki taqat rakhte ho aur irada bhi is be-rahm duniya ko chhod dene ke bawajud!