andheri raat hawa tez barshgal ka shor karun to kaise karun shama ki nigahbani in aandhiyon mein kaf-e-dast ka sahaara kya kahan chale gae tum saunp kar ye daulat-e-nur meri hayat to jugnu ki raushni mein kati na aaftab se nisbat na mahtab rafiq janam janam ki siyahi baras baras ki ye raat qadam qadam ka andhera nafas nafas ki ye raat tumhaari nikhat-e-barbaad ko tarasti hai ab aao aa ke amanat sambhaal lo apni tamam umar ka ye ratjaga tamam hua main thak gaya hun mujhe nind aai jati hai