to aur ek bar phir mera selection ho nahin paya meri har ek nakaami pe rassi muskuraati hai khushi se ainthti hai aur nae bal padte jate hain mujhe apna gala ghutta hua mahsus hota hai main apni chhat se jab niche gali mein jhankta hun to ye lagta hai sadak mujh ko uchhal kar khinch le jaegi apne sang dara deta hai ye ehsas aur mujh ko pasine se lahu ki gandh aati hai agar main dur se bhi rail ki aawaz sunta hun to koi ajnabi haibat mujhe jhakjhor deti hai aziyyat khun ke katron mein yun karwat badalti hai ki main tukdon mein batte ruh ko mahsus karta hun mere kamre ka cieling-fan hansta hai meri jaanib lapakta hai main dar se kanp jata hun simat kar baith jata hun kisi kone mein kamre ke yun lagta hai kai sadiyon ka lamba fasla tai kar ke main ne subh pai hai magar main sochta hun kab talak aakhir main apne aap ko khud se bachaunga mahz ek aur nakaami main ab ke tut jaunga badan se chhut jaunga