ye aurat is liye paida hui hai ki is ko tukde tukde kar ke phansi par chadhaya jae ise yunan ke ek mashhur daku ke bistar ki zarurat hai (wo apne sab shikaron ka qadd-o-qamat isi bistar ke paimane ki nisbat se ghatata katta ya khinch ka jabran badhata tha) khutut-e-lab to dekho! kis tarah simte hue hain, sang-e-dil aamiyana-pan tarawish kar raha hai ye kina-tuz aankhen in ki gahrai ke kichad mein sunahri machhliyan ghote lagati hain rupahli shakh tauba hai ki khulti banh hai, lekin koi saya nahin padta! main apne khol ke andar simat kar baith rahna chahta hun mujhe minar ki khidki se jhuk kar jhankne ki zarurat kuchh nahin hai magar wo fahisha zanjir-e-dar ki nind udae ja rahi hai wo aankhen khubsurat ban gai hain! mujhe khamdar zinon se utar kar niche aana hi padega